Poetically Speaking

0
148

Utho Meri Duniya Kay Ghareebo Ko Jaga Do
By Allama Iqbal

Utho meri dunya kay garibon ko jaga do
khaak-e-umra k dar-o-diwar hila do
[khaak-e-umra = palace of rich people]

Garmao gulamon ka lahu soz-e-yaqin se
kunjishk-e-firomaya ko shaheen se lara do
[soz-e-yaqin = warmth (passion) of belief/faith]
[kunjishk-e-firomaya = sparrow; shaheen = falcon]

Sultani-e-jamhoor ka ata hai zamana
jo naqsh-e-kuhan tum ko nazar aye mita do
[sultani-e-jamhoor = rule of the people]
[naqsh-e-kuhan = old structures (ways/traditions)]

Jis khet se dahqan ko mayassar nahin rozi
us khet k har khosha-e-gandum ko jala do
[dahqan = farmer; mayassar = available]
[khosha-e-gundam = ear of wheat]

Kyon khaliq-o-makhluq mein hayal rahen parde
peeran-e-kalisa ko kalisa se hata do
[khaliq = creator; makhaluuq = creation]
[peeraan-e-kalisa = church officials]

Main nakhush-o-bezar hun marmar k silon se
mere liye mitti ka haram aur bana do
[marmar = marble]

Tehzeeb-e-nawin kargah-e-shishagaran hai
adab-e-junoon shayr-e-mashriq ko sikha do
[tehzeeb-e-nawin = new culture; kagah-e-shishagaran = factory of glass makers]
[shayr-e-mashriq = poets of the east]