Hum dekhain gay

0
153

hum dekhain gay
lazim hai ke hum bhi dekhain gay
woh din ke jis ka wadah hai
jo loh-e-azl pe likha hai
hum dekhain gay

jab zulm-o-sitam ke koh-e-garaan
ruii ki tarah urd jain gay
hum mehkumoon ke paun talay
yeh dharti dhard dhard dhardkay gi
aur ehl-e-hukum ke sar uper
jab bijli kard kard kardke gi
hum dekhain gay

jab arz-e-khuda ke kabay se
sab but uthwaaiy jain gay
hum ehl-e-safa mardood-e-haram
masnad pe bithaaiy jain gay
sab taaj uchalay jain gay
sab takht giraaiy jain gay

bas naam rahay ga allah ka
jo ghayab bhi hai hazir bhi
jo nazir bhi hai manzar bhi
uthay ga analhaq ka naara
jo main bhi hun aur tumbhi ho
aur raaj karay gi khalq-e-khuda
jo main bhi hun aur tum bhi ho

hum dekhain gay
lazim hai ke hum bhi dekhain gay
hum dekhain gay
we shall see
it is necessary that we shall also see
that day which has been promised
which is written with god’s ink
we shall see

when the mountains of cruelty and torture
will fly like pieces of cotton
under the feet of the governed
this earth will quake
and over the head of the ruler
when lightening will thunder
we shall see

when from god’s mecca
all the idols will be shattered
us people standing in the mosque
will be elevated to a higher platform
all the crowns will be tossed
all the thrones will be toppled

then only god’s name will remain
who is both absent and present
who is both the observer and the view itself
when the anthem of truth will be raised
who i am and you are as well
and the people of god will reign
who i am and you are as well

we shall see
it is necessary that we shall also see
we shall see